Friday, June 4, 2010

"Dil jo keh na saka
wahi raaz-e-dil
kehne ki raat" kab aayegi
- yehi sochte hain hum!

Kya woh sahi waqt
kabhi aayega bhi ya nahi
Kya us ghadi mein
woh dabi baatein keh sakege hum

Jab itna kuch hai dil mein
Itne umadte armaan qaid hain yehan
To kya kya jata sakege hum
Kya kya kehna theek hoga
Aur kya hamesha ke liye
chupa le apne seene mein hum

No comments: