Friday, May 21, 2010

Who else but you!

Par tum hi batao, aur kise dosh de,
tumhare siva

Raat ko ghanton tak kis se baat karte hain,
tumhare siva

Uske baad ghanton tak yaad kise karte hain,
tumhare siva

Kaun mann hi mann hame rulata bhi hain, hasata bhi hain,
tumhare siva

Ek pal ko jannat bhi aur
bechaini bhari intezaar bhi banaye kaun,
tumhare siva

No comments: