हर एक पल बस आँखें टकि रहती है
सिर्फ़ तेरी परीजाद सूरत पर
हर एक साँस जो लेता हूँ मैं
दिल की गहराइयों में बस जाते हो दिलबर
हर एक दर्स पर गौर फर्माता हूँ मैं
झील सी आँखें, गुलाबी होटों पर
रात कट जाती है, नींद नही आती
सोचते रहता हूँ जब इन चीज़ों पर
मेरी जिंदगी की नूर हो तुम
आते हो तो अँधेरा जाता है बिखर
दर्द भी तुम, दवा भी तुम हो
जो मिलता है, पीलेते हैं हँसकर
तुमसे मिलना सिर्फ़ एक अधूरा ख़्वाब रहेगा
समझते हैं हम, समझता नही यह दिल मगर
तस्वीरों की क्या ज़रूरत है अब, तुम मिलो न मिलो
हमेशा के लिए बस गए हो दिल के भीतर
composed on 11th August at 2 am in the night
Here's the approximate transliteration (for those who cant read Devanagari)
Har ek pal bas aankhen taki rehti hai
Sirf teri parizaad surat par
Har ek saans jo leta hoon main
Dil ki gahraiyon mein base jaate ho dilbar
Har ek dars par gaur farmata hoon main
Jheel si aankhen, gulabi hoton par
Raat kat jaati hain, neend aati nahi
Sochte rehta hoon jab in cheezon par
Meri zindagi ki nur ho tum
Aate ho to andheraa jaata hain bikhar
Dard bhi tum, dawa bhi tum ho
Jo mil jaata hain, pi lete hain hanskar
Tumse milna sirf ek adhoora khwab rahega
Samajhte hain hum, samajtha nahi yeh dil magar
Tasveeron ki kya zaroorat hain ab, tum milo na milo,
Hameshan ke liye bas gaye ho dil ke bhitar
No comments:
Post a Comment